Friday, September 14, 2012

Zinda Ho TUM

apni tamannao ko koshishon mein badal rahe ho toh zinda ho tum
apni koshishon ko anzaam tak le jane k liye ladd rahe toh zinda ho tum

unn tamaam sapno ko haqekaat mein badal rahe ho toh zinda ho tum..
kisi aur k liye ni-swaarth jhagad rahe ho toh zinda ho tum..

ek dariya ki tarah kisi maha sagar se milne ki tamnna hai toh zinda ho tum ..
kuch khamoshiyon mein chupi aawaaj ko sunn sakte ho toh zinda ho tum ..

Raat k andhere ko door karne wali uss chingari ki raakh ki ahmiyat samjhte ho toh zinda ho tum ..
Jindagi jine ka naam hai hur pal uuse ji rahe ho toh zinda ho tum ...


KYA KAHEIN ..

Jub wo pass aa apne haath humare haath k pass table pe rakhte hain
 kya kahein kya sitam dhate hain …

Jub wo barish k paani mein pairon se chap-chap karte hain
kya kahein wo boondein kya sitam dhate hain …

Wo laal rang k kurte mein jub chat pe dikhte hain …
kya kaahen wo lali kitna dil pe aaghat karti hain ….

Jub wo aarti se pehle humein khich k le jate hain mandir k samne
Lagta hai bus aise hi khichta chala jaoon unka haath thamein ….

Jub wo andhere mein chiraag ki rooshni mein baatein kartein hain'
kya kahen hum munn hi munn bahut kuch kehh jate hain …

Ghanto intazaar karna unke milne ka, Aur unse milte hi
kya kahen sare shubd kahin kho jatein hain ….

Ghanto munn hi munn unse kayi batein karte hain 
kya kahen Unke saath sirf unko sunne ki iccha hoti hai …

Kuch nazdeekiyan unse aisi badhi
kya kahen unki aawaj sune bina aab din nahi dhalta ..

Unki hussi pehchaane ki aisi aadat si ho gayi
kya kahen aankhein unhe apne aap bheed mein dhundhne lagti hain ….

Unke pass hone ka aihsaas itna prabal hai
kya kahen akele bhi unke payal ki khanak sunai deti hai ….

Kuch riston ka koi naam nahi hota
kya kahen humara rista hi kuch aisa hai …