Ittafaak se ittafaak kurne lage hain
Na chahte hue bhi unsee pyar kurne hum lage hain
Bheed mein bhi unhe yaad kurne lage hain
Aur Apni parchayee mein bhi unhe dekhne hum lage hain
Nazzre utha k humari taraf kya dekha
Naseebo mein khud ko khushnaseeb sumjhne hum lage hain
Nazzre unse kya mili
Khamosh rehh kar bhi sawaal kurne hum lage hain
Dheeme kadmo se humare kareeb aaye wo
Ye sooch patjhad mein bhi gulista basane hum lage hain
Nahi jante kya rang layegi humari mohaabat
Phir bhi parwane ki tarah shama ki ore chalne hum lage hain
Chehre ka gusse aur aankhon ka pyar dekh kur
Hur inkaar ko iqraar sumjhne hum lage hain
Ant mein yaad hamari unko tub aayi
Jub maut k kareeb badhne hum lage hain
Wednesday, June 8, 2011
Monday, June 6, 2011
Aadat
Baat ye nahi ki ashiq jeena nahi chahta
Bus Mehboob k bina murne ki aadat si hogayi hai
Mehboob k kareeb aake kaun door jana chahta hai
Bus ashiq ko mohabbat mein faasle badhane ki aadat si hogayi hai
Pura mohaala ilzam lagaye Ashiq pur
Usse chup chap sunn lene ki aadat si hogayi hai
Ashiq kitna bhi khafa hojaye mehboob se
Uske ek mushkurahat se maan jane ki aadat si hogayi hai
Tamannao ki mehfil baar baar ujadi
Mehfil phir lagane ki aadat si hogayi hai
Dard baant le apne ashko se
Issliye peene pilane ki aadat si hogayi hai
Baarish mein bheeg ashk chupaye
Gum chupane ki aadat si hogayi hai
Doston ki bheed mein bhi tanha ho jate hai
Yun waqt bitane ki aadat si hogayi hai
Mera mehboob bewafa nahi
Lakin kya kare duniya ki rasm-e nibhane ki aadat si hogayi hai

Friday, June 3, 2011
Pehli baarish ki boond
Pehli baarish ki boond
Jub ghaas pe girti hai to aisa lagta hai
Jaise ek maa apne nanhe bache ko aalingan mein le rahi ho
Jaise uss sukhe ghaas ko naya jeevan mil haya ho
Jub sukhe patto pe padti hai to aisa lagta hai
Jaise premi aur premika bade din baad mile ho
Jaise wo patta issliye nahi gira kyun ki usse uss boond ka intazaar tha
Pehli baarish ki boond
Jub ek aawaara tidde ko chhute hai to lagta hai
Jaise ek kishor ko apna munn chaha khilona milgaya ho
Jaise uss tidde ko apna jeevan safal nazzar aata ho
Jub sadak ke beghar pe padti hai to aisa lagta hai
Jaise ek maa apne bache ko seema paar ladne jate dekh garv karti ho aur munn hi munn ghabrati ho
Jaise uss beghar ko pehli baar apne ghar na hone ka dukh n ho
Pehli baarish ki boond
Jub ek nauyuvak k kandko pe girti hai to aisa lagta hai
Jaise kisi ka aanchal lehrata hua chere ko chu jaye
Jaise uss yuvak ko ek nayi disha naya josh mil gaya ho
Jub ek vriddh vyakti pur girti hai to lagta hai
Jaise koi pota apne dada ka haath pakad chalna seekh raha ho
Jaise uss vriddh ko apne pehle pyar ki yaad dila rahi ho
Jub kisi pardeshi pe pardesh mein girti hai to lagta hai
Jaise usske desh se uske apno ka sandesha aaya ho
Jaise pardeshi ko apne mitti ki yaad dila rahi ho
Aur ant mein
Pehli baarish ki boond
Jub hum jaisoon pe girti hai to lagta hai
Jaise talaab ke paani ki machliyan samundra se mili ho
Jaise prakriti apne sarva shreshth hone ka aehasaas dila rahi ho

Subscribe to:
Posts (Atom)