Aye kalum kya likhoon main aaj
Apno se door iss desh mein pardeshi hoon
jane kiske liye , apni parchayon se door hoon
Apni pehchaan apne logon mein na mili
Aur chala aaya iss pardesh mein pehchaan banane
Khud meri parchayan hasti hai mujh pe iss kadar
jaisa koi marial ghoda chala aaya ho ghodon ki race mein.
Khud hi anjaan hoon swayam se, Ya jaan ke anjaan bana baitha hoon
khud k bune resham ke dhaagon mein bandha hoon
ya makdi k jaale ko resham ka dhaga sumujh baitha hoon
Apne hi banaye raaston ko pehchaan nahi pa raha
ya bhrum mein kisi aur k banye raastoon pe chala ja raha hoon
Kahin khud ki talaash mein aage badhte badthe apno se door aagaya hoon
ya iss matlubi sumaaj mein itna matlabi hogaya hoon ki apno se dooriyan khud bana baitha hoon
Kabhi hasta hoon kabhi roota hoon
ek pal rukk, n jane kya soochta hoon
aagle hi pal chal padta hoon bina kisi utter ke intazaar ke
bus iss bheed mein Ziddi ki tarah aage badhe ja raha hoon
Kabhi n kabhi jaroor rukunga, iss jindagi se sawaal karoonga
kya pata peeche chode aaye kadmon ke nishaan mere
kisi rahgir ke kaam aaye, usko apni pehchaan mil jaaye
Bus ussi pal meri jeet hogi aur mujhe meri pehchaan mil jayegi
No comments:
Post a Comment